Pata Nahi.
31
OCTOBERDescription
PATA NAHI!
By Mrunal Ratnaparkhi
Dheemi si shaam hai, Aur mein baithi hoon…
Khidki se thoda door aur bohot najdik
Khamoshi se.
Khamosh? Shayad nhi. Par Shayad Haan,
awaj se Khamosh hoon, Sara shor to andar sameta hai
Ye jo bhi hai... Jise hum shor samazte hai,
Shayad wo shor hai hi nhi
Wo hai koi awaaj...
Kisi ghane Jungle mein jab
Pedonki ek daal dusri se takrakar jo awaj Hoti hai na...
Bilkul waise!
Mere zehen mein bhi wohi hai
Mere khayal uun teheniyon ke jaise hai
To mein…
Isi awaj wali khamoshi ke saath Yun hi baithi hoon.
Ek ek tehni se milti Hui,
Ek ek tehni Ko parakhti hui
Andar hi andar aage badh Rahi hoon
Koi purani tehni girti hai to
Nayi Kahi se leti hai Janam
Silsila jari hai..
Khayalon ke iss jungle mein Chalte chalte
Koi Aisi jageh milti hai…
Jaha na koi ped, na koi patta hai
Na awaj na gunj, Kuch bhi nahi.
Waha hai kamoshi aur khamoshi bass!
Mil gayi! Muze meri jageh mil gayi.
Muzhme hi thi par pata nhi Kyun wo thi nahi
Ab Wahan wo saare ped piche chut Gaye hai
Bas unhe door se dekh Sakti hoon,
Kitne Sundar the wo.
Unhe ab mein acche se samaz Sakti hoon
Jab jungle ke uss paar thi,
Kitna bikhra bikra dekha tha sabkuch
Yaahan, is jageh se Sara kuch sulza hua dikhta hai.
Par ye hai kya? Konsi jageh hai yeh?
Pata nahi.
Waise zindagi mein “pata nahi” bohot hai.
Mrunal????